Protection and Symptoms of Corona virus in Pakistan

Protection and Symptoms of Corona virus in Pakistan

China kay shehar Wuhan say shoro honay wala yeh flu bari beqaidigi say apni vehshat phela raha hai. Pakistan main bhe iss flu kay 2 cases samnay aa chukay hain.

Iss flu say bachnay kay liye zarori iqdamat apnanay chahaiyein. Jahan iss virus say log amwat ka shikaar hoaaye hain wahan kuch log iss virus ko shikaast denay main bhe kamyab hoaaye hain aur sahet yab hoaaye hain.

Aik bohat zrori baat jo yahan batana zarori hoga, har insan kii qouaat-e-muda’fat kisi bhe qism kii bemariyon kay khilaaf larnay main moasar kirdar ada kerta hai. Isliye zrori hai kay apna nizam-e-muda’fat ko mazbot banaya jaaye.

Coronavirus kay insani jisam mein dakhil honay Kay 3 rastay hain.

1-anakhain
2-naak
3-gala

Coronavirus kay zahir honay kay Ilamat

1-khansi
2-sardard
3-bukhar
4-sans lenay mein mushkil

Cronavirus ki koe mekhsos ilamat nahi, har flu cough corona say munsilik nahi kiya sakti. Kisi bhe ilamat kay zahir honay pr apna test krwain aur dr ki hidayat par amal karain.

Iss bemari say bachnay kay chand zarori iqdamat darj zail hain.

-apnay muh ko ache trah dhanp kar bahir nikalaain. Iss kay liye ainak aur N-95 mask ka istemal karain. Kapray ka bana mask karamad nahe.

-apnay hathon pay gloves ka istemal karain aur apany muh pay lagany say guraiz karain.

Darwazay kay handle/knobs, seeriyon kay handrails, biometric, ATM, aur kisi bhe mushtaba cheez ko chonay kay bad apanay hath baqaidigi say dhooyein.

Chokain Pakistan mein coronavirus kay phelanay kay khadshaat bohat kaam hain. Bazahir apany apko mehfoz rakhanay main koe mazaiqa nahi. Phelnay ki sorat mein Mutasira fard say fasla ikhtiyar karna bohat zrori hai.

Apna aur apnay ird gird kay logon ka khiyal rakhain. Achi behtareen gizaa ka istemal karain aur healthy lifestyle apnayain.

Share and Enjoy !

Shares

You might also like:

Leave a Reply

Your email address will not be published.